Wednesday 2 January 2013

kya kuch ye mann chahta h...


mat pucho k kya kuch ye mann chahta h...

barish ki in rhimjhim fuharo m...
aaj to bheeg jane ko ye mann chahta h...

halki halki chal rahi iss thandi hawa m...
aaj to udd jane ko ye mann chahta h...

bike aur beer lekr apne haath m...
aaj to dosto k sath baithne ko ye mann chahta h...

hassi ki ek choti si wajah ko lekr...
aaj to hr gam bhulane ko ye mann chahta h...

uske sath bitaye lamho ki yaad m...
aaj to hr duri mitane ko ye mann chahta h...

apno s hi hr baazi haara hu ab tk...
aaj to khud s ladkr jeetne ko ye mann chahta h...

mat pucho k kya kuch ye mann chahta h...

No comments:

Post a Comment