Thursday, 3 January 2013

Tu jo nahi h to...

Tu jo nahi h to...

ye nazrein jhuki h...
aur palkein bheegi h...

labb b chup h...
aur chehra udass h...

hath khali h...
aur dil akela h...

raatein sooni h...
aur din bin roshni h...

raste veeran h...
aur manzilein khoii h...

 kalam band h..
aur soch apni hadd m h...

saansein maddham h...
aur dhadkhan betaab h...

sapne adhure h...
aur zindagi b dur bhagti h...

Tu jo nahi h to....

Mera Adhurapann...

Tujhse ye jane kaisi lagan h meri...
K Tere bin hr chiz adhuri lagti h...

Saans leta hu to wo b adhura lagta h...
Palkein band kru to sapna adhura lagta h...

Kuch bhi pane ki chahat adhuri lagti h...
Kuch khone ka darr b adura lagta h...

Kisi baat p yu hi naraz hona adhura lagta h...
Fir khud hi maan jana b adhura lagta h...

Kisi baat pr hone wali khushi adhuri lagti h...
Udassi bhara hr maahol b adhura lagta h...

Barish ki hr boond ka ehsaas adura lagta h...
Phoolon ki khushboo ki mithass b adhuri lagti h... 

Anjaani raahon pr wo aawargii adhuri lagti h...
Tere bin ye dewangi b adhuri lagti h...

Bebss dil ka yu dhadakna  b adhura lagta h...
Tere bin jeene ki koshish b adhuri lagti h...

Tujhse ye jane kaisi lagan h meri...
K Tere bin hr chiz adhuri lagti h...